Follow Us

My Fun Blog :: Google Blog :: Fun Img Post :: Twitter Post

Google

HAMAN CHAMAN KE PHOOL

juhi,bela,gulaab,champa,chameli
yeh sab tere cehre main hai
ab chaman main kiya raha
sara chaman tere cehre main hai.

shabnam se kiya phool khileen
jab tak ke barsaat na ho
khat se kiya dil bhare
jab tak ke mulaqaat na ho.

na jane badloon ke darmiyaan kiya sazish huwi
mera ghar mitti ka tha mere he ghar barish huwi.

ab ke sawan main yeh shararat mere saath huwi
ek mera ghar chore ke sare saher main barsaat huwi.

yoon to khilte hain gulshan main hazaroon phool
magar chunne wale sirf gulaab chuna karte hain.

sab chaman se gulaab le aaye
husn wale shabab le ayee
shaikh sahab ne mangi jannat
hum wahi se sharab le aye.

phool ka shabab kiya husn-e-mahataab kiya
aap to bas aap hain aap ka jawaab kiya.

tere rukhsaar per till ka matlab ab main ne jana 
darbar-e-husn per sipahi bitha rakha hai.

falak ke teer ka dekhta kiya nishana
idhar thi bijli udhar mera aasyana.

hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnaam
woh khatal bhi karte hain to charcha nahi hota.

alfaaz main aati hai kahan se kaifiyat-e-dil
mehsoos jo hota hai bataya nahi jata.

jahanm ho ya jannat jo bhi hoga faisla hoga
yeh kiya kam hai ke un ka aur hamara saamna hoga
tu samjhta kiya hai deewana-e-ishq ko zahid
yeh ho jayeengey jis janib usi janib khuda hoga.

sara saher us ke janazey main shamil tha
tanhaiyoon ke khauf se jo shaqs mar gaya

bikhri bikhri zulfeen teri 
paseena mathe per hai
sach to yeh hai ke
tum gusse main 
aur bhi piyare lagte ho
raheen takna taare ginna
sadeq kaam hamara hai
aaj magar kiya baat hai
tum bhi jagey  jagey lagte ho.

daman us yousuf ka aaya purze ho kar haat main
ud gayee sone ki cidiya rehgaye per haat main.

hum to hum hain daman-e-yousuf bhi salamat na raha
na jane kitne ilzaam tarashsey gaye hum se pehle.

kaate nahi kattey yeh lamhe intezaar ke
nazreen bicha ke baithe hain raste pe yaar ke
dil ne kaha jo dekhe jalwe husn-e-yaar ke
laya hai kon tumhe falak se utaar ke.

ujale apni yadoon ke hamare saath rehne do
najane kis gali mainzindagi ki shaam ho jaye.

abhi aaye abhi baithe abhi daman ko sambhala hai
aap ki is jaoon jaoon ne hamara dum nikala hai.

woh ban sanwar ke chale hain ghar se
hai khoye khoye se bekhabar se
dupatta dhala huwa hai sir se
khuda bachaye buri nazar se.

nazar ko hum ne nazar se aksar
nazar milate nazar se dekha
nazar mili jab nazar se unki 
nazar churate nazar se dekha.

humdum ke liye hum dum se gaye
humdum ki kasam hum dum na mila
marham ke liye mar hum bhi gaye
murhum ki kasam marhum na mila.

zameen ki tum nahi lagti
kahan se aayi ho bolo
meri jaan husn pariyoon sa
kahan se layi ho bolo.

shama bujh gayee udne lage parwane
aagaaz to accha hai anjaam khuda jane.

woh dil he kiya jo tere milne ki dua na kare
main tujh ko bhool ke zinda rahoon khuda na kare.

Visitor Comments

Blog Visitor

Blog Visitor

Blog since 1-Jan-2011
rawatsan06@gmail.com
free counters
http://rawatsan.blogspot.com

Pages

Subscribe via email

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Twitter